Thursday 25 June 2015

Ishq ki Aahat

Ishq ki aahat dabepaon kaanon tak
pahakar aayi thi kabhi
kachha sapna samajhkar...
aasan na lagaya humne!

Raat ki siyahi ko nazron mein utarkar
subah ki roshni ko
baarhan nakara humne!

Meri wajood meri khuddari thi
unke dil ki darwaze pe ruk kar bhi
apne jazbaaton ki dastak na di humne!

Parwane kab dooriyan rakha shamme se...
kayi shaam unki khatir mahfil sajane mein
chiraghon se ungliyan apni jalayi humne...!

Sunday 25 March 2012

Ibteda: Rishton ke rang

Ibteda: Rishton ke rang: Rishton ko in dino ik ajab sa pahnawa chahiye dil ka rang nahi, inhe dimag ki boo chahiye kabhi yun hi jin lamhon ko  shakh se tod...

Rishton ke rang

Rishton ko in dino ek ajab sa pahnawa chahiye
dil ka rang nahi, inhe dimag ki boo chahiye

kabhi yun hi jin lamhon ko
 shakh se tod liya karte the
waqt ke ped pe unhe, ab
pakne ki wajah chahiye

yeh dil hai - nadan hai, justjoo hai, arzoo hai
yeh dimag hai - adab hai, wajah hai, mareez-e-danai hai

dil-o-dimag, ek hi rishtey ke
do pahloo hain
uljhan mein hoon, har rishtey mein aaj
kaun kitna chahiye



Wednesday 29 February 2012

Ibteda: Dhoop ka sikka

Ibteda: Dhoop ka sikka: Masjid ki chawk se Ramu halwai wali dahina gali lekar mandi se hokar kamre ki bistar tak  dimak lagi khidki se pighalta ...

Dhoop ka sikka


Masjid ki chawk se
Ramu halwai wali
dahina gali lekar
mandi se hokar
kamre ki bistar tak

dimak lagi band khidki se pighalta
nange peeth pe sikka ban uchalta

waqt ki tarah kahin
fisal jaata hai band muthhi se
haath aata nahi
kisi ke

pakad hi leta hai
chupte chupate
dhoop dekha hai kabhi peecha karte?

Tuesday 28 February 2012

Ibteda: Jaane kaise woh jee lete hain

Ibteda: Jaane kaise woh jee lete hain: Nazar na ho jaise aayina saaf dikh jaate hain aate nahi chehre par shikan unhe nazar aate hain labjhon ko pahankar kabhi zuban...

Jaane kaise woh jee lete hain

Nazar na ho jaise aayina
saaf dikh jaate hain
aate nahi chehre par
shikan unhe nazar aate hain

labjhon ko pahankar kabhi
zuban tak utar aaye
dil ki aisi baaton ko
gale se hi
cheen lete hain
suna hai meri tarah
zindgi kahin woh
kishton mein roz thodi
jee lete hain...........

chalkar un tak pahoonche
isse pahle hi
in kadmon ki aahat
jaan lete hain
meri aadaton ko
zaroorat apni banaye
jaane zindgi har pal kaise woh....
jee lete hain!!